Dastarkhwaan tayaar rakhiye, Ramadan is almost here!

Hello Bazaaris! Kaise ho aap sab? As the holy month of Ramadan approaches, our bustling gullies are gearing up for celebrations. Yeh ek aisa mahina hai jab Bhendi Bazaar ki galiyaan roshni se chamak uthti hain, the market transforms into a foodie’s paradise, buzzing with energy and tradition.

Iss ibaadat se bhare mahine se itni khushiyon humaare aas paas bhar jaati hai. People from across Mumbai come to Bhendi Bazar and enjoy the delicious spread that is offered from evening to even late night. Yeh aane wala mahina, ek nayi umeed laata hai, ek naya josh laata hai aur mann ko paak kar deta hai. Our lovely mohallah, radiates positive energy, warmth, and a lot of religiousness through the month.

Yahan aapko har tarah ke Iftari ke liye naye aur purane, mashoor, masaledaar aur meethe pakwaan milenge. Shaam hote hi, har taraf se chcken rolls, kebabs, biryani aur mithaiyon ki khushbu aane lagti hai. Sabke pasand ki chize asaani se mil jaati hai, phir chahe woh keema samosa ho, baida roti ho ya malpua, har cheez dil ko chhoo jaati hai.

Toh chaliye, Bazaaris iss Ramadan mein Bhendi Bazaar ki roshniyon mein shaamil ho jaayein aur is anokhe mahaul ko enjoy karein. Aap apne iss ramadan ke mahine ki tayaariyan aur khushiyaan humare saath comments mein share kijiye. Do tag @bbkecharche on instagram in your stories and posts when you feast in Bhendi Bazaar.

With the happy vibes of this month, also comes the responsibility of praying as well. Tell us in the comments below how do you plan your prayers during the day in the holy month of Ramadan?

Phichle saal se aap iss ramadan mein kya badal na chahate hai aapke apne Bhendi Bazaar yah apni personal life mein. Humein bataiye. Now is the time to discuss and make a change in our lives. 

Aa ke miliye to sahi
Twitter
Visit Us
Follow Me
Instagram
Follow by Email